Help Videos
About Us
Terms and Condition
Privacy Policy
बेइंतेहा मोहब्बत - suraj thakur (Sahitya Arpan)

कहानीप्रेम कहानियाँ

बेइंतेहा मोहब्बत

  • 218
  • 6 Min Read

Bohot pyaar karta tha Rajesh usse, apni jaan se bhi jada, or Anjali bhi usse utna hi pyaar karti
thi. Dono ne bohot se sapne saja liye the, ji ha shaadi tak ke fir esa kya hua ki dono alag ho
gaye? Shayad wajh thi ek dusre ke beech mei samjh ki kami jise understanding bhi kehte hai aur
bohot si wajh thi shayad rajesh ka wo bewajh ghussa karna, or ghusse mei na jaane kya kya bol jaya
karta tha wo jo baad mei use bhi sharminda karte the aur jise bola jata tha uske zehen se wo shabd
nahi nikal sakte the…
Aur bohot si wajh thi jo shayad Rajesh ko Anjali se alag hone ke baad smjh ayi. Anjali ne bohot
baar koshish kari sab kuch sahi karne ki magar Rajesh ne kabhi is aur dhyaan nahi diya. Shuruwaat
ke dino mei jab bhi Anjali Use message kara krti thi to Rajesh kayi dafa gussse mei beth kar use
ignore krta tha bewajh choti choti baat pe ghussa ho ke beth jaya karta tha, aur us waqt Anjali use
manane ki bohot koshish karti thi magar Rajesh apni enth mei uski bilkul nahi sunta tha Ye sab
baaten Rajesh ko us raat samjh mei aayi jab Anjali ne usse alag hone ka faisla liya, wo bhi thak
chuki thi is rishte se aakhir kab tak sehen karti wo ye sab… Rajesh ne bohot rulaya tha use ab rone
ki baari shayad Rajesh ki thi.
Esa nahi hai ki Rajesh ko Anjali se mohbbat kam thi magar Rajesh ke bartaav ne Anjali ko usse
hamesa ke liye door kar diya tha, Us raat Rjaesh ne Anjali se pucha “Kya ham alag ho gaye hamesa
hamesa ke liye” Anjali ka jawaab tha “kuki yahi hona tha, or apne hi mazboor kiya mujhe ye faisla
lene ke liye” ye sach tha magar Rajesh ke liye bohot kadwaa sach jo us din se leke aaj tak uski
anko se ansuo ke roop mei behta chala aa rha hai… us raat Rajesh bohot roya, shayad us din se pehle
bachpan mei hi kabhi maa ki maar se utna roya ho magar is baar maar dil pe lagi thi jiska dard
khatam karna Rajesh ke liye namumkin sa hai… us raat ke baad Use apni saari galtiyon ka ehsaas hua,
jo usne Anjali ke sath reh kar ki thi, jiski wajh se Anjali ne aakhir mei haar kar wo faisla liya…
Rajesh aaj bhi Anjali ke intezaar mei hai, wo aaj bhi uski tasveer subha uthhte hi dekhta hai or
phone pe ki gyi us waqt ki baton ki recording ko har roz sunta hai, ye karna use Anjali ka uske
paas na hone ki kami ko kuch hadd tak shayad kam karta hoga…. Use aaj bhi umeed hai ki Anjali use maaf kar ke laut ayegi uske paas, Shayad Rajesh tab tak Anjali ka yuhi intezaar karta rahega. Magar
Haqiqat to sirf upar wala hi janta hai ki Anjali use maaf kar ke kabhi Rajesh ki zindagi mei wapis
ayegi ya nahi? Magar Rajesh chahaa kar bhi Anjali ko kabhi bhool nahi Sakta, Wo aaj bhi khuda
Anjali ko waps paane ki dua karta hai, Uski dua qubool hogi ya nahi ye na ham jante hai na aap.

logo.jpeg
user-image
नेहा शर्मा

नेहा शर्मा 3 years ago

acha likha hai aapne.

Ankita Bhargava

Ankita Bhargava 3 years ago

कृपया हिंदी रचना को हिंदी में लिखें

दादी की परी
IMG_20191211_201333_1597932915.JPG