Help Videos
About Us
Terms and Condition
Privacy Policy
Lockdown ki pops story - Rijul Goel (Sahitya Arpan)

कहानीसंस्मरण

Lockdown ki pops story

  • 384
  • 6 Min Read

#AURSUNAO #THEMODERNPOETS
Lockdown ki pops story
To baat h april 2020 ki jb hmare lie duniya k mayne hi bdl hi gye the..... Duniya ab ghr ki chaar divaari mei kaid thi or log phones ki screen pr..... bhr hmara desh mahamaari se jang ld rha tha or ghr pr hm online classes ki study or not vaali ulzan mei buri trh fas chuke the.... Jha ek trf patriyo pr rail nhi chl rhi thi or doosri trf hmari chinta stress anxiety ki rail ne aisi raftaar pkdi thi ki rokna na munkin sa ho gya tha....
To baat kuch aisi h ki us din mai kmre mei papa k saath thi or hm jor jor se thake lgakr has rhe the..... Kyuki papa apne zamane ki baatein jo btane lge the.... Papa to yaadon ke safar mei puri trh kho chuke the pr is baar unke saath ye safar mai bhi kr rhi thi.... phli baar..... Hn vse to mai 17 ki thi or ab tk ye safar muze kyi baar kr lena chahie tha.... Pr der aae durast aae.... Or is safar ko phli baar krne ka mja hi kuch or tha..... Or is safar mei abhi hm papa k school ka doura krke college ki or bdhe hi thi ki lga darvaaze pr dastak hui..... Gaadi ki break lgai nazar upr uthai to dekha ki mummy darvaaze pr khdi hme aise dekh rhi thi ki maano hm kisi ka katal krke aae h..... Pr khi na khi vo shi bhi thi.... Kyuki katal to us din mne kia tha....mere or papa ke beech ki dooriyo ka..... Or hme aise dekhna mummy k lie to kya mere lie bhi ajeeb sa hi tha.... Mn jse maanne ko hi tyar na tha ki mai vhi ldki hu jo abhi kuch samay phle tk papa se formal talks krne se bhi darti thi..... unke pass jaane se ghabrati thi... Apni hr demand manvane k lie mummy ko bicholia bnati thi pr haal filhaal mai hmare beech se mummy kb chupke se khisak gyi thi pta hi nhi chla...... Ye rishte bhi kitne nazuk hote h na jyada kas k pkad lo to andar hi andar ghut ghut k mar jaate h or agr jyada dheeel dedo to zaameen se taluk tod jaate h..... Aksar sochti hu kya rishte ke beech dooriyo ki vjh ek tarfa hoti h....Nhi.... Taali kbhi ek haath se nhi bjti..... Hme lgta h ki parents hme nhi smjhte pr asal baat to ye h ki hm bhi kha samjhte h unko..... Or aksar ye do pidhiyo ka frk na jaane kyu rishto mai darare paide kr hi deta h..... Pr ye darare mitai jaa skti h agr koshish do trfa ho to.... Meri or papa ke beech aai yeh darare bhi jsile miti kyuki papa ne muze apna thoda tym dia or mne thoda pyaar.....thoda papa ne muze smjha thoda mne unhe.... Thoda papa ne haath aage bdhaya to thoda mne....... Or ab papa se baat krne k lie mummy ko beech mai nhi lati rather ab mai or papa mil kr mummy ki tang khichte h.......
To is lockdown mai jha bhari duniya se mera rishta toot gya tha vhi ghr mai ek rishta bakhoobi sambhal gya tha...... Or ab hmesha sambhla hi rhega...... To filhall mummy ko bhr bhej dia h or vo safar jo ruk gya tha use dobara shuru krne jaa rhe h.......

IMG_20200119_194742_1602399044.jpg
user-image
Ankita Bhargava

Ankita Bhargava 4 years ago

कृपया हिंदी की रचना देवनागरी में लिखें रोमन में नहीं

दादी की परी
IMG_20191211_201333_1597932915.JPG